The influential poetry are those words that enter from the ear to.Poetry can provide a mirror for us to see ourselves, and a window into others' experiences. Here are the poetry collections
Thursday, January 10, 2013
yaad-e-mazi.
YaaD e mazi
Yaad-Mazi Mai Jo Ankhon Ko Saza Di JayeIs Say Behtar Hai K Har Baat BhulaDi Jaye..
Mai Ne Apno K Raweyon Say Ye Mehsoos KiyaDil K Angan Mai B Dewaar Utha Di Jaye..
Mai Ne Yaroon K Bhicharne Say Ye Seekha "MOHSIN"Apne Dushman Ko B Jeene Ke Dua Di Jaye.....
( poet : Mohsin naqvi)
ashk ankhon main kab nahi ate.
Ashk ankhon main kab nahin ata
lahu ata hai jab nahin ata
hosh jata nahin raha lekin
jab wo ata hai tab nahin ata
dil se rukhsat hui koi khwahish
girya kuch be-sabab nahin ata
ishq ka hausala hai shart warna
bat ka kis ko dhab nahin ata
ji main kya-kya hai apne ae hamdam
har sukhan ta ba-lab nahin ata
(poet : mIR tAQI mIR)
Wednesday, January 9, 2013
new design poetry.
![]() |
karam jab Aal-e-nabi (s.a.w) ka shareek hota hey......bigar bigar kay har kam thek hota heay........

ek tou husan bala, us par banawat Aafat.....ghar ujar gaye hazaroo kay, sanwarne wale....

teri nigah bhi is door ki zakat hui.....joo mustahiq hey usi ko na mili.....

daman chura k Aap ne jana he tha agar.....nazaree utha kay piyar se dekha tha kis liye....
bohat nazdeek ate jaa rahe ho.....bicharne ka irada kar liya kiya...??
ishq kay rang liye pheerta hu.....us ki tasveer bana day koi.......
Subscribe to:
Posts (Atom)