Showing posts with label Sufi Poetry. Show all posts
Showing posts with label Sufi Poetry. Show all posts

Sunday, July 7, 2019

Sufism Poetry in Urdu Sad Shayari

Urdu Latest Poetry

Sad Urdu Poetry

Sad Shayari

Sad Poetry

Urdu Sad Shayari

Urdu Sad Poetry

Urdu Shayari

Urdu Poetry

Poetry sad shayari

Sad poetry shayari

Jab koi aik hi shakhs aap kai sakoon ka
baes ban jayai to samjh lejeyai
kaih aap ka sakoon khatry mai hai
---
Mout ai na hi falak sy qayam atri
Dil yonhi tarq-e-taluq sy dara karta tha
---
Sar utha kar bhi dua mangna jayz hai magar
sajdah kar lejeyai taseer badal jayai ge
---
Dar-e-shabeer taire nokri bhi
Do aalm ki anokhi afsari hai
---
Wo mujhy kafiro mai ginty hain
Jo nahe janty khuda kya hai
---
Ahl-e-bait sy Ishq ki aik pehchan Insaan ka kam go hona bhi hai
kyunkai jitna Ishq bhary ga utni Khamoshi bhi bhary ge
---
Apni zabaan kat kai luqma bana leya aaya
jo tang bhook sy bacha ghareeb ka
---
Lot aya hun phir sy apni esi qaid tanhae mai
Lay gaya tha koi apni mehfilo ka lalich dy kai
---
Mairy inkaar parastish ny bacha leya hai mujhy
sar jhuka dou to har insaan khuda ho jayai
---
Yai bojh Ishq hai kaih phir karamt yaar ki
Phoot nikla ereyo sy aaj paani ruqs mai

Tuesday, May 28, 2019

Sufi Poetry Shayari Quotes in Urdu

sufi poetry

urdu shayari

urdu poetry sad sufi

Islamic Poetry

sufi poetry in urdu

sufi shayari poetry in urdu

poetry shayari quotes

sufi quotes in urdu

sufi quotes in urdu

sufi quotes in urdu
Ay charah gr aadam p na kar Mashq-e-Tajrubat
Parwardeegaar tujh ko mareezo kai dhair dy
.
Ehd-e-Pukhta kya rindo ny yai paimany sy
Khaak ho jayai gy niklyn gy na maikhany sy
.
Batin ki zara aankh jo roshan ho to phir
daikhyngy wo cheez kaih jo manzar mai nahe hai
.
Dil samjh layta hai jis waqt muhabbat ka mizaaj
Zindagi shauly ki shabnam mai badal jati hai
.
ary waaz hisaab hashar sy aisa bhi kya darna
wo bakhsh par taly to fard-e-aaseyaa kon daikhy ga
.
ab tairy sog mai takleef na ho ankho kw
aisa kuch kar dy kaih matam na manany payai
.
aik faqeer ki shudh aankho sy aik balochan har gae
Jo gin ban kar poch rahi hai kya marzi sarkaar ki hai
.
Kise ki bazm-e-tarb mai hayaat bath'thi the
umeedwaro mai kal mout bhi nazar aey
.
Ay dil zaar mazh daikh leya ulfat ka
hum na kehty thy kaih os kam mai zilat hogi
.
mujhy ishq rakhta hai sarngo maira haal pocho na kya kahun
Mai habaab bahr ka sheesha hun mairy tothny ki saada nahe

Sunday, May 19, 2019

Sufi Poetry Quotes

Sufi Poetry

Islamic Poetry

Sufi Shayari Poetry

Islamic Poetry

shayari

Sufism Poetry

Sufi Shayari

Sufi Poetry

Poetry In Urdu

Poetry Pictures

Poch raha tha koi gali mai bacho sy
janai wala rsty mai roya to nahe
.
Sheikh ki bato mai bai dam maira ji kya behly
os ko ata nahe kuch dozakh o jannat kai siwa
.
Rando mai bhi milty hain Allah waly
Nasha bhi bhari taiz nazar rakhta hai
.
Os bot ka dil mily ga mairy dil sy kis tarah
Wo kufar k leyai hai yai Islam kai leyai
.
Na janai ab bhi wo barsa rahy hain pathar kyun
Hamari shakh py ab to koi samar bhi nahe
.
Palko ny itni erheya raghri shab-e-fraq
zam zam tumhari yad ka jari oy aaj bhi
.
Haye qisa gham kya sunaya ghamgar kw
Maire qismat mai na tha gham-e-Jana
.
Shahd wo ayai hain yaar un ki mehfil mai
Utha hai shor Subhanallah subhanallah
.
Ajab pardo dari hai yai sab razdareya bhi
jo samjh gayai to nikhar gayai ja na samjhy to bikhar gayai
.
Khuda ny phly kaha mani thi farishto ki
jo un ky lkhy py hum ko jalayai dozakh mai

Friday, January 18, 2019

Kabhi un ka naam lena kabhi un ki baat karna - Peer Naseeruddin 'Naseer'


Kabhi un ka naam lena kabhi un ki baat karna !
Mera zauq un ki chaahat, mera shauq un pe marna !

Wo kisi ki jheel aankhen wo meri junoon-mizaji,
Kabhi doobna ubhar kar kabhi doob kar ubharna !

Tere manchalon ka jag mein ye ajab chalan raha hai,
Na kisi ki baat sunna, na kisi se baat karna !

Shab-e-gham na poochh kaise tere mubtala pe guzari,
Kabhi aah bhar ke girna, kabhi gir ke aah bharna !

Wo teri gali ke tewar, wo nazar nazar pe pahre,
Wo mera kisi bahane tujhe dekhte guzarna !

Kahaan mere dil ki hasrat, kahan meri na-rasai,
kahaan tere gesuon ka tere dosh par bikharna !

Chale lakh chaal duniya ho zamana lakh dushman,
Jo teri panaah mein ho use kya kisi se darna !

Wo karenge na-khudai to lagegi paar kashti,
Hai 'naseer' warna mushkil tera paar yun utarna !

~ Peer Naseeruddin 'Naseer' r.a.


Saturday, January 12, 2019

Bheekha jua khel prem ka kadi na aaye haar !
Jin ke hirday har basey wo jeete sau sau baar !

~ Hazrat Meeran Bheekh Chishti Sabri r.a.

apna gunahgaar

Sau jaan se ho Jaunga raazi main saza par,
Pahle wo mujhe apna gunahgaar to kar lein !

~ Akbar Ilahabadi

Friday, January 11, 2019

Ishq hai dillagi nahin

अब कोई बात भी मेरी माना के होश की नहीं
आपको भूल जाऊँ मैं, ऐसी तो बेख़ुदी नहीं

तीर पे तीर खाए जा, और यार से लौ लगाए जा
आह ना कर, लबों को सी, इश्क़ है दिल्लगी नहीं

आह! मेरी शब-ए-फ़िराक़, हाय ! मेरी शब-ए-फ़िराक़
यानि कि आज शाम से, तारों में रौशनी नहीं

तेरे करम से बेनियाज़, मुझे कौन सी शै मिली नहीं
झोली मेरी तंग है तेरे यहाँ कमी नही

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ab koi baat bhi meri maana ke hosh ki nahin
Aapko bhool jaaun main aisi to bekhudin nahin

Teer pe teer khaaye ja aur yaar se lau lagaaye ja
Aah na kar labon ki sii ishq hai dillagi nahin

Aah meri shab-e-firqa, haaye meri shab-e-firaq
Yaani ke aaj sham se taaron mein roshni nahin

Tere karam se beniyaz mujhe kaun si shai mili nahin
Jholi meri tang hai Tere yahan kami nahin

Saturday, January 5, 2019

Tawaaf-e-kaaba-e-dil


Suna hai arsh-e-Elaahi isi ko kahte hain,
Tawaaf-e-kaaba-e-dil hum ne subh-o-shaam kiya !

~ Peer Shah Muhammad Aziz

Thursday, December 27, 2018

Maslak-e-Ishq



Ye maslak apna-apna hai, ye fitrat apni-apni hai,
Jalao aashiyan tum, hum karenge aashiyan paida ! 

~ Syed Muhammad Ali Shah 'Maikash' Akbarabadi

Saturday, December 1, 2018

Nigah-e-Yaar





Ye maantaa hoon adab shart-e-ishq hai lekin,

Ye hosh kis ko rahega nigaah-e-yaar ke baad !

~ Raees Niyazi



Monday, November 14, 2016

Dair-o-haram mein na ja - Khwaja Haider Ali 'Atish'

Parda-e-ghaflat utha pesh-e-nazar yaar hai,
Dair-o-haram mein na ja dhoondhne maujood ko !

~ Hazrat Khwaja Haider Ali 'Atish'

(Remove the veil of heedlessness, The beloved is in view.
Do not seek Him in a temple or Kaaba, Who is present everywhere)

Thursday, November 3, 2016

Wallah wahi sab mein hai ba-Allah wahi hai - Bahadur Shah Zafar

Shola hai wahi, shamma wahi, maah wahi hai !
Khursheed wahi, noor-e-sahar-gaah wahi hai !

Hoor-o-malak-o-deo-pari ins-o-nabi jaan,

Sab sooraton mein maahi dil-khwaah wahi hai !

Yusuf hai wahi, wo hi Zulekha, wahi Yaqoob,

Kinaan hai wahi, Misr wahi, chaah wahi hai !

Raah-rau hai wahi , raahbar wahi, wo hi raah-e-maqsood,

Gumraah wahi raah se aagaah wahi hai !

Kya husn mein kya ishq mein, sab mein hai wahi noor,

Ye maujib ghamza-sabab aah wahi hai !

Majnoon-o-kharabaati-o-deewana-o-hoshiyaar,
Darwesh-o-gada shah-o-shahanshah wahi hai !

Khaara mein sharar hai wo 'zafar' laal mein rang,
Wallah wahi sab mein hai ba-Allah wahi hai !

~ Bahadur Shah 'Zafar'


Maah = The Moon
Khursheed = The Sun
Noor-e-sahar-gaah = The light of dawn
dil-khwaah = beloved
Yusuf = Prophet Yusuf (Jospeh) in Quran
Yaqoob = Prophet Yaqoob (Jacob) in Quran
Zulekha = Wife of Al-Azeez in Quran (Potiphar's wife) in Bible, who was deeply in love with Prophet Yusuf
Kinaan = Semetic City on Canaan, within the region roughly corresponding to the modern Middle East
Misr = Egypt
Raah-rau = Traveller, Wayfarer
Raahbar = guide
Raah-e-maqsood = The desired path
Aagaaah = one who is aware
Maujib = cause
Ghamza = flirtatious Gesture
Kharabaati = resident of a bad surrounding (such as tavern,bar,casino)
Khaara = Hard stone
Sharar = Spark,flash
Laal = Ruby stone



This ghazal by Bahadur Shah 'Zafar' is full of symbolism on the concept of 'wahdat-ul-wajood' ie. 'The unity of essence' or 'the unity of existance' or the 'unity of being'.

As per the concept of 'Wahdat-ul-Wajood' everything that exists can only exist because it is an aspect of the Divine Reality, hence it is an aspect of the Divine Unity itself. 
The Sufis who believe in the concept of Wahdat-ul-Wajood see the face of God everywhere but they don't reduced God to everything. God remains supremely transcendent. Even though everything which arises and exists does resembles Him, He resembles nothing but Himself .

Tuesday, November 1, 2016

Monday, October 31, 2016

Wo kaam kyun karein jise dil maantaa na ho - Seemab Akbarabadi

Barbaad husn-e-zan se maal-e-wafaa na ho !
Aisa na ho ke haqq-e-muhabbat ataa na ho !

Hoon aashna-e-dost, mujhe kyun ataa na ho ?
Aisi jabeen jo dair-o-haram se aashnaa na ho !

Phir chaahta hoon raabta husn-o-ishq se,
Wo ibtada ke jis ki koi intehaa na ho !

Wo sar-khushi ka waqt hai jab kaayenaat mein,
Dil bolta ho aur aur koi boltaa na ho !

Rahne de imtiyaaz ke parde pade huye,
Aye husn ! har naqaab se jalwanumaa na ho !

Mahw-e-khudi na ho jo wo kaafir to kya kare,
Jis ki nazar mein hadd-e-khudi tak Khuda na ho !

'Seemab' tark-e-ishq-o-gham-e-zindagi galat,
Wo kaam kyun karein jise dil maantaa na ho !

~ Aashiq Hussain Siddiqui 'Seemab' Akbarabadi
(5.06.1882 – 31.01.1951)

Thursday, September 12, 2013

Raanaai-e-kaunain se be-zaar humeen the - Ehsan Danish



Raanaai-e-kaunain se be-zaar humeen the,
Hum the, tere jalwon ke talabgaar humeen the !

Hai farq talabgaar-o-parastaar mein aye dost,
Duniya thi talabgaar parastaar humeen the !

Is banda-navaazi ke tasadduq ke sar-e-mehshar,
Goya teri rehmat ke sazaa-waar humeen the !

De de ke nigaahon ke tasawwur ka sahaara,
Raton ko tere waaste bedaar humeen the !

Bazaar-e-azal yun to bahot garm tha lekin,
Le de ke mohabbat ke khareedar humeen the !

Khatke hain tere saare gulistaan ki nazar mein,
Sab apni jagah phool the khaar humeen the !

Haan aap ko dekha tha mohabbat se humeen ne,
Jii saare zamaane ke gunahgaar humeen the !

Hai aaj wo soorat ke banaaye nahin banti,
Kal naqsh-e-do-aalam ke kalamkaar humeen the !

Pachhtaaoge dekho humein begaana samajh kar,
Maanoge kisi waqt ke gham-khwaar humeen the !

Arbaab-e-watan khush hain humein dil se bhulaa kar,
Jaise nigah-o-dil pe bas ik baar humeen the !

‘Ehsaan’ hai be-sood gila unki jafaa ka,
Chaaha tha unhein hum ne, khatawaar humeen the !

~ ‘Ehsaan’ Danish Sahab

Saturday, July 13, 2013

Rehmat ka taqaaza - Anwar Sabri

'Anwar' mere kaam aai qayaamat mein nadaamat,
Rehmat ka taqaaza meraa har ashk-e-rawaan tha !!
~ 'Anwar' Sabri Sahab

Sunday, June 30, 2013

Qaid-e-gham-e-hayaat se humko chhudaa liyaa - Shamim Karhani


Qaid-e-gham-e-hayaat se humko chhudaa liyaa,
Achchha kiya ke aap ne apna banaa liyaa !

Hone diya na hum ne andheraa shab-e-firaaq,
Bujhne laga chiraag to dil ko jalaa liyaa !

Duniyaa ke paas hai koi is tanz ka jawaab ,
Diwaana apne haal pe khud muskuraa liyaa !

Chup hoon tumhaara dard-e-muhabbat liye huye,
Sab poochte hai tum ne zamaane se kyaa liyaa !

Kyaa baat thi ke khalvat-e-zahid ko dekh kar,
Rind-e-gunaahgaar ne sar ko jhukaa diyaa !

Na qaabil-e-bayaan hai muhabbat ki lazzaten,
Kuchh dil hi jaanta hai jo dil ne mazaa liyaa !

Roz-e-azal padi thi hazaaron hi neymatein,
Hum ne kisi ka dard-e-mohabbat utaa liyaa !

Badhne lagi ji talki-e-gham-e-haa-e-zindagi,
Thoda sa baada-e-gham-e-janaan milaa liyaa !

Waqif nahin giraft-e-tasawwur se wo ‘Shamim’,
Jo ye samajh rahe hain ke daaman chhudaa liya !

~ ‘Shamim’ Karhani





Monday, May 27, 2013

Ishq-e-butaan ka le ke sahaara kabhi kabhi - ‘Arsh’ Malsiayani



Ishq-e-butaan ka le ke sahaara kabhi kabhi,
Apne Khuda ko hum ne pukaara kabhi kabhi;

Aasooda-e-Khaatir hi naheen matmah-e-wafa,
Gham bhi kiya hai hum ne gawaara kabhi kabhi;

Is intehaa-e-tark-e-muhabbat ke ba-wajood,
Hum ne liya hai naam tumhaara kabhi kabhi;

Tufaan ka khauf hai abhi shayad karishma-kaar,
Aata hai samne jo kinaara kabhi kabhi,

Tanhaa-ravi ne rak’khi humaare junoon ki laaj,
Go ahl-e-kaarwan ne pukaara kabhi kabhi;

Ab kya kahein dil-e-mutalavvin-mizaaj ko,
Aksar ye aap ka hai,humaara kabhi kabhi;

Paiham sitam se ishq ki taskeen ho na jaaye,
Aye dost iltifaat Khudaa-ra kabhi kabhi;

Fariyaad-e-gham se ‘arsh’ sambhalta hai dil magar,
Lete hain ahl-e-dil ye sahaara kabhi kabhi..!!!

~ ‘Arsh’ Malsiayani

--------------------------------------------------------------------------
Aasooda-e-Khaatir = Khushaali ke liye
matmah-e-wafa = Wafa ki chaahat
dil-e-mutalavvin-mizaaj = Wo dil jiska mizaj humesha badalta ho
Paiham = Humesha, lagataar
Iltifaat = Rahem










Sunday, May 5, 2013

Ye bhi kya ghar hai, barbaad bhi, aabaad bhi - ‘Asghar’ Gondavi


Hai dil-e-nakaam-e-aashiq mein tumhari yaad bhi,
Ye bhi kya ghar hai, barbaad bhi, aabaad bhi;

Dil ke mitne ka mujhe kuchh aur aisa gham nahin,
Haan magar itna, ke hai is mein tumhari yaad bhi;

Kis ko ye samjhaaiye nairang-e-kaar-e-aashiqui,
Tham gaye ashk-e-musalsal, ruk hai fariyaad bhi;

Seeney mein dard-e-muhabbat raaz ban kar rah gaya,
Ab wo haalat hai ke kar sakte nahin faryaad bhi;

Phaad daloonga gareeban, phor daloonga apna sar,
Hai mere aafatkade mein kais bhi farhaad bhi

Kuchh to ‘Asghar’ mujh mein hai, qaayam hai jis se zindagi,
Jaan bhi kahte hain is ko aur unki yaad bhi;

~ Hazrat ‘Asghar’ Gondavi

Monday, April 29, 2013

Kya kiya banda-e-nacheez pe ehsaan tu ne - Hazrat Allama Ghulam Ahmed Gilimi Chishti R.A.

Kya kiya banda-e-nacheez pe ehsaan tu ne,
Apna deewana banaaya merey jaana tu ne;

Jab se dekha hai tujhe, dil nahin kaabu mein mera,
Kafir-e-ishq bana kar liya imaan tu ne;

Khusha-naseeb ke nisbat ataa kiya tu ne,
Karam kiya, mujhe apna bana liya tu ne;

Hazaar baar yahi sochta hoon rah-rah kar,
Main kya tha aur mujhe kya bana diya tu ne;

Isi adaa pe teri mit gaye hain deewane,
Khata hui to khata ko chhupa liya tu ne;

Ye mera zarf, khata pe khata hui mujhe se,
Wo shaan teri, karam pe karam kiya tu ne;

Teri talash mein jab gum hua koi banda,
To us ko bandey se maula bana diya tu ne;

Terey ehsaan ka badla to nahin ho sakta,
Meri mushkil ko humesha kiya asaan tu ne..!!!

~ Hazrat Allama Ghulam Ahmed Gilimi Chishti R.A.