Showing posts with label sad sms. Show all posts
Showing posts with label sad sms. Show all posts

Friday, February 8, 2019

Tou Dil Dehal Jatay


Agar Dil Parhay Jatey
Tou Dil  Dehal  Jaatey

اگر دل پڑھے جاتے
تو  دل  دہل  جاتے


Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Monday, November 19, 2018

November Urdu Poetry


Sirf ik bar aao mery dill me apni muhabbat dekhny


Sirf ik bar aao mery dill me apni muhabbat dekhny
phir lotny ka irada hum tum par chor dain gy

November Urdu Poetry

Har taraf se ronak bas ik teri hi he kami


Har taraf se ronak bas ik teri hi he kami
sard mosam halky badal or udaas november ki aakhri shaam

November Urdu Poetry

 

Halki Halki si sard hawa zara zara sa dard dill


Halki Halki si sard hawa zara zara sa dard dill
Andaz Acha he November tery Aany ka

November Urdu Poetry


November ka rawaya bhi usi be dard jesa he


November ka rawaya bhi usi be dard jesa he
Na jazbon me tapish koi na lehjy me koi garmi

Na baton me koi narmi siyah ratain khafa needain
Thakan se choor jisam wo jan

Na seeny me ama koi na khuab mehrban koi
November ka rawaya bhi us bedard jesa he

November Urdu Poetry

Pocha kisi ne haal kisi ka to ro diye


Pocha kisi ne haal kisi ka to ro diye
Pani me Aks chand ka dekha to ro diye

November Urdu Poetry

November ki tarha hum bhi alvida keh dain gy ik din


November ki tarha hum bhi alvida keh dain gy ik din
Phir dhondty phiro gy December ki thandi raton me.


Saturday, September 1, 2018

Two line urdu poetry


Talash Kar Meri Kami Ko Apny Dill Main


Talash Kar Meri Kami Ko Apny Dill Main
Dard Ho To Samajh Lena Rishta Ab Bhi Baqi He

Roth Jany ki Ada humko bhi aati he Faraz


Roth Jany ki Ada humko bhi aati he Faraz
Kash hota koi humko bhi manany wala

Boj be mani sawalon k utha rakhy hain


Boj be mani sawalon k utha rakhy hain
Hum ne so fiqr dil o jan ko lga rakhy hain

Tum to apny thy zara hath to barhaya hota


Tum to apny thy zara hath to barhaya hota
Ghair bhi dhobny waly ko bacha lety hain

Wo bichra to phir kabhi subha na hoi


Wo bichra to phir kabhi subha na hoi
Rat hi hoti gyi har rat k bad

Mukhalfat se meri shakhsiyat sanwarti he


Mukhalfat se meri shakhsiyat sanwarti he
Me dushmano ka bara ahtram karta hon

Bana lo usy apna jo tumhain dill se chahta ho


Bana lo usy apna jo tumhain dill se chahta ho
Khuda ki qasam ye chahny waly bari mushkl se milty hain

Jab sham ke say dhalty hain yaad tumhari aati he



Jab sham ke say dhalty hain yaad tumhari aati he
Har zakhm kanwal ban jata he har dard ko neend aa jati he

Kisi be wafa ki khater ye janoon faraz kab tak


Kisi be wafa ki khater ye janoon faraz kab tak
Jo tumhain bhula chuka he usy tum bhi bhool jao

Kon kitna mukhlis he faraz


Kon kitna mukhlis he faraz
Waqt her shakhs ki Aoqat bta deta he

Mera Kia hall he tery bina kabhi dekh to le


Mera Kia hall he tery bina kabhi dekh to le
Jee raha hon teri bhola hoa wada ban kar

Isy shaery na jaano ye he meri aap beeti


Isy shaery na jaano ye he meri aap beeti
Meny likh diya he dill ka sabhi hall chalty chalty


Friday, January 9, 2015

Jaisa Tumhe Mila Tha Mein Waisa Juda Karo


اک نقش ہو نہ پائے ادھر سے ادھر مرا
جیسا تمہیں ملا تھا میں ، ویسا جدا کرو
Ik Naqsh Ho Na Paey Idhar Se Udhar Mera
Jaisa Tumhe Mila Tha Mein, Waisa Juda Karo


Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Wednesday, January 7, 2015

Khud Ko Kitna Gira Chuka Hoon Mein


فقط اک تیری برابری کے لئیے
خود کو کتنا گرا چکا ہوں میں
Faqat Ik Teri Barabari K Liye
Khud Ko Kitna Gira Chuka Hoon Mein

Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Tuesday, December 16, 2014

Majboor Thay Hum Uss Se Mohabbat Bhi Bohat Thi

Best Love Poetry
  
ظالم تھا وہ اور ظلم کی عادت بھی بہت تھی
مجبور تھے ہم اس سے محبت بھی بہت تھی

اس بُت کے ستم سہ کے دکھا ہی دیا ہم نے
گو اپنی طبیعت میں بغاوت بھی بہت تھی

واقف ہی نا تھا رمز محبت سے وہ ورنہ
دل کے لیے تھوڑی سی عنایت بھی بہت تھی

یوں ہی نہیں مشہور زمانہ میرا قاتل
اس شخص کو اس فن میں مہارت بھی بہت تھی

ہر شام سناتے تھے حسینوں کو غزل ہم
جب مال بہت تھا تو سخاوت بھی بہت تھی


Zalim Tha Woh Aur Zulm Ki Aadat Bhi Bohat Thi
Majboor Thay Hum Uss Se Mohabbat Bhi Bohat Thi

Uss Butt K Sitam Seh K Dikha He Diya Hum Ne
Go Apni Tabiyat Mein Bagawat Bhi Bohat Thi

Waqif He Na Tha Ramz-E-Mohabbat Se Woh Warna
Dil K Liye Thorri Si Inayat Bhi Bohat Thi

Youn He Nahi Mash-Hoor Zamana Mera Qaatil
Uss Shakhs Ko Iss Fun Mein Maharat Bhi Bohat Thi

Har Shaam Sunatey Thay Haseeno Ko Ghazal Hum
Jan Maal Bohat Tha Tou Sakhawat Bhi Bohat Thi



Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It