Showing posts with label Sad Emotional Loanly. Show all posts
Showing posts with label Sad Emotional Loanly. Show all posts

Sunday, July 1, 2018

Bikta he gham husn k bazar me

Bikta hai gam husn ke bazar mein,
Lakho dard chupe hote hai ek chote se inkar mein,

Wo kya smjhenge pyar ki kashish ko,
Jinhone fark hi nahi samjha pasand aur pyar mein.

Friday, June 1, 2018

Collection of best two line urdu poetry

Yaad karty hain

Yaad karty hain dill he dill main tujhy
ab tery tazkary nahi hoty.

Wesa Nhi Rha Main


Wesy to ab bhi khubiyan mujh main hain an ginat
jesa usy pasand tha wesa nhi rha main.



Mery Bina Jeena hi sekh lia


Ham to bichary they tum ko apna ehsaas dilany k liye
lekin tum ne to mery bna jeena hi sekh lia


Bas tumhain na sochon to 

 
Bas tumhain na sochon to bach sakta hon
tabiyat ne ye aakhri dua hath jor kar btai he.



Ruki hoi thi meri sans



Ruki hoi thi meri sans seeny main
tumhain galy na laga ta to Ghut ky mar jata

Bas aik he bar dekhny gya tha


Bas aik he bar dekhny gya tha us ko
ab mera hal dekhny log aaty hain

Sukhy paton ki tarha bikhry hain hum


Sukhy paton ki tarha bikhry hain hum to
kisi ne smeta bhi to sirf jalany k liye

Tuesday, May 29, 2018

Aasman k tary aksar

Aasman ke tare aksar pucha karte hain,
kiya tumhe ab bhi intezar hain uske laut aane ka?

aur dil muskura ke kehta hain..
mujhe to ab bhi yakeen nahi uske jaaney ka!

(Mery Ban Jao)