Showing posts with label Pir Nasiruddin Nasir. Show all posts
Showing posts with label Pir Nasiruddin Nasir. Show all posts

Friday, January 18, 2019

Kabhi un ka naam lena kabhi un ki baat karna - Peer Naseeruddin 'Naseer'


Kabhi un ka naam lena kabhi un ki baat karna !
Mera zauq un ki chaahat, mera shauq un pe marna !

Wo kisi ki jheel aankhen wo meri junoon-mizaji,
Kabhi doobna ubhar kar kabhi doob kar ubharna !

Tere manchalon ka jag mein ye ajab chalan raha hai,
Na kisi ki baat sunna, na kisi se baat karna !

Shab-e-gham na poochh kaise tere mubtala pe guzari,
Kabhi aah bhar ke girna, kabhi gir ke aah bharna !

Wo teri gali ke tewar, wo nazar nazar pe pahre,
Wo mera kisi bahane tujhe dekhte guzarna !

Kahaan mere dil ki hasrat, kahan meri na-rasai,
kahaan tere gesuon ka tere dosh par bikharna !

Chale lakh chaal duniya ho zamana lakh dushman,
Jo teri panaah mein ho use kya kisi se darna !

Wo karenge na-khudai to lagegi paar kashti,
Hai 'naseer' warna mushkil tera paar yun utarna !

~ Peer Naseeruddin 'Naseer' r.a.