Tuesday, September 22, 2015

Tumhare khath main naya ek salam kis ka tha ...

Tumhare khath main naya ek salam kis ka tha,
Naa tha raqeeb to akhir wo nam kis ka tha,

Wo qatal kar ke har kisi se puchte hain,
Yeh kaam kis ne kiya hai ye kaam kis ka tha,

Wafa karenge nibhayenge baat manenge,
Tumhen bhi yaad hai kuch ye kalam kis ka tha,

Raha na dil main wo be-dard aur dard raha,
Muqeem kaun hua hai maqam kis ka tha,

Na pooch-paach thi kisi ki na aao-bhagat,
Tumhari bazm main kal ehtamam kis ka tha,

Guzar gaya wo zamana kahen to kis se kahen,
Khayal mere dil ko subah-o-sham kis ka tha,

Har ek se kahte hain kya “Daagh” bewafa nikla,
Yeh puche in se koi wo ghulam kis ka tha,

TRANSLATION:

From where came the new greetings in your letter to me,
If not a rival was it then who was he?
After slaughtering us they ask from everyone,
Who has done this deed? Whose work is this?
We will be faithful, trustworthy and true to you,
Do you even remember whose words were these?
The pain giver left but only the pain is left,
Who has stationed here and whose station was it?
There were no invitation nor was there any gathering,
Then whose honor was being celebrated in your company?
Those days have passed that time is gone,
Who shall we say to now, whose thoughts haunted me?
They ask everyone that did "Dagh" turn out unfaithful?
Someone ask them by God, WHOSE SLAVE WAS HE?!

- Dagh Dehalvi