Showing posts with label sad photo. Show all posts
Showing posts with label sad photo. Show all posts

Tuesday, May 5, 2015

Zindagi Mein To Sabhi Pyar Kiya Karte Hain


Zindagi Mein To Sabhi Pyar Kiya Karte Hain
Main To Mar Kar Bhi Meri Jan TujheeChahon Ga

Tu Mila Hai To Ye Aehsas Howa Hai Mujh Ko
Ke Meri Umer Mohabbat Ke Liye Thorii Hai

Ek Zara Sa Gham Dora Ka Bhi Haq Hai Jis Per
Main Ne Wo Sans Bhi Tere Liye Rakh Chori Hai

Tujh Pe Ho Jaon Ga Qurban Tujhe Chaon Ga
Main To Mar Kar Bhi Meri Jan Tujhe Chahon Ga

Apne Naghmaat Mein Jazbat Rachane Ke Liya
Main Ne Dharkan Ki Tarha Dil Mein Basaya Hai Tujhe

Main Tasawar Bhi Judai Ka Bhala Kese Karon
Main Ne Qismat Ki Lakiron Se Churaya Hai Tujha

Pyar Ka Ban Ke Nigheban Tujhe Chahon Ga
Main To Mar Kar Bhi Meri Jan Tujhe Chahon Ga

Aye deeda-e-giryan



aye deeda-e-giryan kya kahiye iss pyaar bhare afsaane ko
ek shama jali bujhne ke liye ek phool khila murjhane ko

Main apne pyaar ka deep liye aafaaq mein har su ghoom gaya
tum door kahin ja pahunche the aakaash pe jee behlaane ko

Woh phool se lamhe bhaari hain ab yaad ke naazuk shaanon par
jo pyaar se tum ne saunpe the aaghaaz mein ek deewaane ko

Ek saath fanaa ho jaane se ek jashn toh barpaa hota hai
yun tanha jalna theek nahin samjhaaye koi parwaane ko

Main raat ka bhed toh kholunga jab neend na mujh ko aayegi
kyon chaand sitaare aate hain har raat mujhe samjhaane ko

Tum poochho aur main na bataaun


Tum poochho aur main na bataaun aise toh haalaat nahin,
ek zara sa dil toota hai aur toh koi baat nahin.

Kis ko khabar thi saanwale baadal bin barse udd jaate hain,
saawan aaya lekin apni qismat mein barsaat nahin.

Toot gaya jab dil toh phir ye saans ka naghma kya ma.ani,
goonj rahi hai kyon shehnaai jab koi baaraat nahin.

Ghum ke andhiyaare mein tujh ko apna saathi kyon samjhun,
tu phir tu hai mera toh saaya bhi mere saath nahin.

Maana jeevan mein aurat ek baar mohabbat karti hai,
lekin mujh ko ye toh bata de kya tu aurat zaat nahin?

Khatm hua mera fasaana ab ye aansoo ponchh bhi lo,
jis mein koi taara chamke aaj ki raat woh raat nahin.

Mere ghumgeen hone par ahbaab hain yun hairaan ‘qateel
jaise main patthar hun mere seene mein jazbaat nahin. !

Nigaahon mein chamak dil mein khushi mehsoos karta hun


Nigaahon mein chamak dil mein khushi mehsoos karta hun,
ki tere bas mein apni zindagi mehsoos karta hun.

Thaka deti hain jab kaunain ki pahnaaiyaan mujh ko,
tere dar par pahunch kar taazgi mehsoos karta hun.

Ba-majboori muqaddar ke uffaaq se jhaankne waale,
teri aankhon mein sharmindagi mehsoos karta hun.

Jawaani ko sazaa-e-lazzat-e-ehsaas de dena,
main iss had par khuda ko aadmi mehsoos karta hun.

Shab-e-aakhir falak par timtima kar doobte taare ,
main apne saath tera dard bhi mehsoos karta hun.

Qateel’ ehbaab ko deta hun tere sulooq ki zehmat,
main apne dard mein jab bhi kami mehsoos karta hun. .!

Yeh Mojeza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaye Mujhe


Yeh Mojeza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaye Mujhe
Ke Sang Tujhpe Gire Aur Zakhm Aay Mujhe

Woh Mera Dost Hai Sare Jahan Ko Hai Malom
Dagha Kare Woh Ksi Se Tou Sharm Aay Mujhe

Wo Meharbaan Hai Tou Iqraar Kyon Nahin Karta
Wo Badgumaan Hai Tou Sou Baar Azmaaye Mujhe

Wohi Tou Sab Se Zyada Hai Nukta Chien Mera
Jo Muskora Ke Humesha Gale Lagaye Mujhe

Barang Oud Mile Gi Usey Meri Khushboo
Woh Jab Bhi Chahe Bare Shouq Se Jale Mujhe

Main Apni Zaat Mein Neelam Ho Raha Hoon 'Qateel'
Gham-E-Hayaat Se Keh Do Khareed Laye Mujhe