Sunday, May 10, 2015

Deyaar-E-Ghair Mein Kesey Tujhey Sada Detay - Wasi Shah

Deyaar-e-ghair mein kesey tujhe sada detey
Tu mil bhi jaata tou tujhe ganwa detey

Tumhi ney hum ko sunaaya na apna dukh warna
Dua wo kartey ke hum aasmaan hila detey

Hamein ye zaum raha ab ke wo pukaarein gey
Unhein ye zid thi ke har baar hum sada detey

Wo tera gham tha ke taaseer mere lehjey ki
Ke jis ko haal sunaatey, usey rula detey

Tumhein bhulaana hi awwal tou dastaras mein nahi
Jo ikhtiyaar bhi hota tou kia bhula detey

Tumhaari yaad ney koi jawaab hi na diya
Mere khayaal ke aansuu rahey sada detey

Sama'aton ko main taa-umar kosta Syed
Wo kuch na kehtey magar hont tou hila detey


No comments:

Post a Comment