Tuesday, May 5, 2015

Meri nazar se na ho door ek pal ke liye




Meri nazar se na ho door ek pal ke liye,
tera wajood hai laazim meri ghazal ke liye.

Kahan se dhoond ke laaun charaagh se woh badan,
taras gaye hain nigaahen kanwal kanwal ke liye.

Kisi kisi ke naseebon mein ishq likha hai,
har ek dimaagh bhala kab hai iss khalal ke liye.

Hui na jurrat-e-guftaar toh sabab ye tha,
mile na lafz tere husn-e-be-badal ke liye.

Sadaa jiye ye mera shehar-e-bemisaal jahaan,
hazaar jhonpade girte hain ek mehal ke liye.

Qateel’ zakhm sahun aur muskurata rahun,
bane hain daayre kya kya mere amal ke liye. !!

No comments:

Post a Comment