Tuesday, May 5, 2015

Halaat ki bheegi raat bhi hai jazbaat ka tez alaav bhi


Halaat ki bheegi raat bhi hai jazbaat ka tez alaav bhi,
main kaun si aag mein jal jaaun aye nukta-waro samjhaao bhi.

Har-chand nazar se jhele hain har baar sunahre ghaao bhi,
hum aaj bhi dhokha kha lenge tum bhesh badal kar aao bhi.

Girdaab ke khooni halqon se jab khel chuki hai naav bhi,
patwaar badalna kya maani? mallaahon ko samjhaao bhi.

Be-kaif jhakole kaanton ko shaadaab toh kya kar paayenge,
jo phool pade hain raahon mein un phoolon ko mehkaao bhi.

Hum se toh jafaaon ke shikwe tum hans kar chheen bhi sakte ho,
hum dil ko pashemaan kar lenge tum pyaar se aankh jhukaao bhi.

Gulrang charaaghon ki lau se tareek ujaale phoot bahe,
taaq mein ghor andhera hai is rang-mehal ko dhaao bhi. !

No comments:

Post a Comment