Urdu Poetry in Images
Urdu Poetry in Images
آ نکھیں بھر جا تی ہیں
جب کو ئی تمہارا نام لیتا ہے۔
مجھے بھی سکھادو بھول جانے کا ہنر
مجھ سے راتوں کو اٹھ اٹھ کر رویا نہیں جاتا
Urdu Poetry in Images
Kuch Apnay Lab-o-Lehjay Ko Tabdeel Wo Karta,
Phir Hm Se Bayan Ranj Ki Tafseel Wo Karta.
Yak Tarfa Taqazay To Nibhaye Nhi Jatay,
Kuch Apnay Farayiz Ki Bhi Tameel Wo Karta.
Ilzam Lagata Wo Baray Shoq Se Lekin,
Kuch Apnay Kiye Wadon Ki Takmeel Wo Karta.
Kuch Us Ko Bhi Ehsas To Hota Shab-e-Hijran,
Kuch Khawab Mere Khwabon Se Tabdeel To Karta.
Urdu Poetry in Images
**GHAZAL**
Agar hum door ho jayen,
Kahin dunya main kho jayen,
Batao kya karo gey TuM,
Humain dhoondo gey ya,
phir bhul jao ge,
Humy Awaz do ge ya,
Kisi guzri kahani main hamara naam likh do gey,
Chalo Aisa hi Kar lena,
Tum khud bhi badal Jana,
Hamain Tum bhool hi jana,
Magr itni guzarish hey,
Hamara zikar jub Aye to thora muskra dena!
Khushi ka ho ya phir ghum ka,
Bs ik Aansu gira dena.
No comments:
Post a Comment