Sad Poetry For Lover
Sad Poetry For Lover
اب تیرا رو نا کس کام کا
اب تو مر گئے جو تجھ پے مرتے تھے۔
Sad Poetry For Lover
.Na bujha chiragh-e-dayaar-e-dil, na bichrne ka tu malaal kar,
Tujhe de gi jeene ka hosla, meri yaad rakh le sambhal kar,
Ye bhi kya ke ek hi shakhs ko kabhi sochna, kabhi bhoolna,
Jo na bujh sake wo diya jala, jo na ho sake wo kamal kar,
Gham-e-arzu meri justju, mei simat ke aa gaya ru-baru,
Ye sukoot-e-marg hai kis liye? mei jawab doon tu sawal kar,
Tu bichhar raha hai to soch le, tere hath hai meri zindgi,
Tujhe rokna meri mot hai, meri be'bsi ka khayal kar,
Mre dard ka, mre zabt ka, meri be-basi, mere sabr ka,
Jo yakeen na aaye to dekh le, tu hawa mein phool uchaal kr.
Sad Poetry For Lover
'. . . .Tanhaaiyaan. . . .
Badla ToO Aisa Badla Hai Kuch Rang-€-Gulistaan,
Ik Phool Pe Bahaar Hai Ik Phool Pe Khizaan,
Zindagi Bhar Ghamm-€-Judai Tarpaye Ga,
Har Naya Mausam Purani Yaad Le Kar Aaye Ga,
Hain Wahi Rahain Wahi Galiyaan Agar Sunsaan Hain,
Tu Nahi ToO Dil Ki Saari Bastiyaan Veeraan Hain,
Dil Main Hai Jo Ghamm Tera Wo Jaan Le Kar Jaye Ga,
Hon Mubarak Tujh Ko Khushiyaan Aur Mujhe Ruswaiiyaan,
Tujh Ko Tera Ghhar Salamat Aur Mujhe Tanhaiiyaan,
Marte Marte Bhi Tera Hi Naam Lab Pe Aaye Ga.
No comments:
Post a Comment