Friday, February 18, 2011

Ye Na Thi Hamari Qismat - Mirza Ghalib


Ye na thi hamari qismat, k visaal-e-yaar hota 
Agar aur jeete rehte, yehi intezaar hota 

Tere waade par jeye hum, to ye jaan jhoot jana 
K khushi say mar na jaate, agar aitbaar hota 
 
Rug-e-sung say tapakta, wo lahoo k phir na thumta 
Jese ghum samajh rahay ho, ye agar sharaar hota 
 
Kahoon kiss se main ke kya hai, shab-e-ghum buri bala hai 
Mujhay kya bura tha marna, agar aik baar hota 
 
Huwe mar k hum jo rusva, huwe kyun na gharq-e-darya 
Na kabhi janaza uth’ta, na kahin mazaar hota 

Ye masail-e-tasav’vuf, ye tera bayan “Ghalib” 
Tujhay hum wali samajhte, jo na baada khuwar hota

No comments:

Post a Comment