Saturday, February 16, 2013

Dair-o-haram hai gard-e-raah - ‘Firaq’ Gorakhpuri




Aah wo manzil-e-muraad, door bhi hai qareeb bhi
Der hui ki kaafiley uski taraf rawaan nahin

Dair-o-haram hai gard-e-raah, naksh-e-qadam hai mehr-o-maah
In mein koi bhi ishq ki manzil-e-kaarwaan nahin

~ ‘Firaq’ Gorakhpuri

Jo hain aashna sir’re asraar ke - Hazrat Shah Niyaz Ahmed R.A.



Jo hain aashna sir’re asraar ke 
Wo hain yaar har yaar-o-aghyaar ke 

Andhera ujaala, nihaan aur ayaan

Ye jalwe hain sab jalwa-e-yaar ke

Bahaar-o-khizaan hum pe hai eksaan
Kabhi yaar-e-ghul hain kabhi khaar ke

Idhar ki nahin jaante rasm-o-raah
Miyan hum to baashinda hain paar ke 

Kahaan se kahaan le ke panhucha ye dil
Malaayak jahaan se rahye haar ke

Nahin Qais-o-Farhaad sa main ‘Niyaz’
Ke hon gard-e-sahra–o-kohsaar ke 

~ Hazrat Shah Niyaz Ahmed R.A.


Friday, February 15, 2013

Tumhari beniyazi ka tamaasha hum bhi dekhenge - Hazrat Shah Muhammad Taqi 'Raaz' Niyazi



Tumhari beniyazi ka tamaasha hum bhi dekhenge,
Ye aalam kis tarah hota hai ruswa hum bhi dekhenge;

Kisi din to tumhare aastane se karam hoga,
Kisi din to kamaal-e-zauq-e-sajda hum bhi dekhenge;

Shakista paa hain lekin badh rahe hain jaanib-e-manzil,
Kisi surat to ummeedon ka sahaara hum bhi dekhenge;

Azal ke din jo dikhlaaya tha terey lutf-e-paiham ne,
Wahi naqsha wahi jalwa khudaara hum bhi dekhenge;

Zaraa aye ‘Raaz’ uthne do nigaahe banda-parwar ko
Khud apne raaz ko aalam mein afshaan hum bhi dekheinge 

~ Az Hazrat Imam-us-Salekeen Shah Muhammad Taqi ‘Raaz’ Niyazi R.A.





Thursday, February 14, 2013

Aah ko dard chaahiye, naghme ko saaz chaahiye - Hazrat Shah Muhammad Taqi “Raaz” Niyazi R.A.



Aah ko dard chaahiye, naghme ko saaz chaahiye
Raaz ka maajra hai ye Raaz ko Raaz chaahiye

Hijr ki lazzaton mein gum hai saari kaaynaat
Mujhko to har sahar ke baad shaam-e-daraaz chaahiye

Kya merey zauq-e-bandagi, chaahiye koi aastaan
Kya meri aarzoo-e-deed jalwa taraaz chaahiye

Zauq-e-sujood kya karey,Naat-o-Durood kya karey
Maarfat-e-Habeeb ko qalb-e-gudaaz chaahiye

Yaani ke ho niyaaz-e-ishq, naghma-e-soz-o-saaz-e-ishq
Jo ho kisi ka raaz-e-ishq, ‘Raaz’ wo raaz chaahiye !!!!!

~ Az Hazrat 'Imam-us-Salekeen' Shah Muhammad Taqi urf Aziz Miyan “Raaz” Niyazi R.A.

Wednesday, February 13, 2013

Faqeeri jis ne ki goya ke us ne baadshahi ki - Khwaja haider Ali 'Aatish'



Faqeeri jis ne ki goya ke us ne baadshahi ki

Jise zill-e-huma kahte hain, darveshon ka kambal hain



~ Khwaja haider Ali 'Aatish' 



(He who opts for the beggar's life, enjoys kingly state,
The blanket of a beggar is the fabled phoenix shade)

Tuesday, February 12, 2013

Monday, February 11, 2013

Jaanega baad-e-marg - Mir Taqi Mir



Maujein kare hai ab to bahr-e-jahaan mein tu
Jaanega baad-e-marg ke aalam hubaab tha

~ Mir Taqi 'Mir'

You now delight to swim and sport in the sea of life
That life is a water bubble you will at last realize

Sunday, February 10, 2013

Soch kar jurm-e-muhabbat ki sazaa do hum ko - Ehsan Danish




Na siyo honth, na khwabon mein sadaa do hum ko
Maslehat ka ye takaaza hai, bhula do hum ko

Hum hakeekat hain to tasleem na karne ka sabab
Haan agar harf-e-ghalat hain to mita do hum ko

Shorish-e-ishq mein, husn baraabar hai shareek
Soch kar jurm-e-muhabbat ki sazaa do hum ko

Maqsad-e-jeest gham-e-ishq sahra ho ke shaher
Baith jaaeinge jahaan chaaho bitha do hum ko

~ Ehsan Danish