Saturday, February 26, 2011

Ranjha Ranjha Kardi By Baba Bulleh Shah

Ejaaz Hai Kis Ka Ye - Allama Muhammed Iqbal


Ejaaz hai kis ka ye gardish-e-zamana
Toota hai asia main ye sehar-e-firangana

Tameer aashiyan se main ne ye raaz paya
Ehel-e-nawa k haq main bijli hai aashiyana

Ye bandag Khudaye, wo bandage gadaye
Ya banda-e-Khuda ban, Ya banda-e-zamana

Ghafil na ho khudi se kar apni paasbani
Shayad kisi haram ka tub hi hai aastana

Ay La Illaa K waris, baqi nahi hai tujh main
Guftaar dilbarana, kirdaar kahiraana

Tere nigah se dil senon main kaanpte the
Khoya gaya hai tera jazba-e-qalandarana

Raaz-e-haram se shayad “Iqbal” ba khabar hai
Hain is ki guftugu k andaaz muhrimaana

Zulm Seh Kar Bhi Samjhta Hon - Mohsin Naqvi Shayari


Zulm seh kar bhi samjhta hon k tu mera hai
Mere dushman tere chehre pe lahoo mera hai

Subha dam shehar ki shorish tere dam se hogi
Raat k pichle pehar aalam hoo mera hai

Mere hathon main chupe zakham se pehchan mujhay
Tere daman pe bhi ahsaan rafoo mera hai

Ghir gaya hon main talatum main bhi zindaan ki tarah
Halka-e-mauj rawan touq-e-gulo mera hai

Itni shohrat bhi kahan chahi thi khud se main ne
Apne hi shehar ka har shaks adu hai mera

Dhoop chaaon ki ye rut dil main tehar jane de
Aks tera hai to saaya lab jo mera hai

Patharon se muhabbat mujhay yun bhi hai “Mohsin”
Sangdil shehar main ik aayena ru mera hai

Wo Mera Khayal Thi - John Elia Urdu Poetry Sher


Wo mera khayal thi, so wo thi
Main us ka khayal tha so main tha
Ab dono khayal mar chuke hain

Zamane Bhar Ki Nighahon Se Jo - Poetry Of Mohsin Naqvi


Zamane bhar ki nigahon se jo Khuda sa lage
Wo ajnabi hai magar mujh ko aashna sa lage

Najane kab meri dunya main muskuraye ga
Wo shaks k khuabon main bhi khafa sa lage

Ajeeb cheez hai yaro ye manzilon ki hawis
K rahzan bhi musafir ko rehnuma sa lage

Dil tabah tera mashwara hai kya k mujhay
Wo phool rung sitara bhi bewafa sa lage

Huwi hai jis se mun’nawar hai aik ankh ki jheel
Wo chand aaj bhi “Mohsin” ko kam numa sa lage

Tuesday, February 22, 2011

Yun Aanso Na Bahao - Shayari-e-Dard


Yun aanso na bahao k abhi umer pari hai
Gham apna na chupao k abhi umer pari hai

Sar-e-shaam kyun pete ho tanhaiyun k dar se
Zara mekhane se nikal aao k abhi umer pari hai

Mere qatil se hai milna to zara aayene main dekho
Phir yun chehra na chupao k abhi umer pari hai

Kheera karti hain nigahon ko wo roshan aankhen
Jalte suraj ko bhujao k abhi umer pari hai

Poet: Shabeeb Hashmi

Deta Rehta Hai Koi - Love Urdu Poetry


love urdu poetry

Sunday, February 20, 2011

Urdu Nazam - Hawa Thami Thi Zaror Lakin


Hawa Thami Thi Zaroor Lekin,
Wo Shaam Jesy Sisak Rahi Thi
K Zard Patton Ko Aandhiyun Ne Ajeeb Qissa Suna Dia Tha
K Jis Ko Sun Kar Tamam Pattay
Sisak Rahe The
Bilak Rahe The
Janae Kis Sanehe K Ghum Main
Shajar Jaron Se Ukhar Chuke The
Bohat Talasha Tha Hum Ne Tumko
Har Aik Rasta, Har Aik Waadi
Har Aik Parbat, Har Aik Ghaati
Kahin Se Teri Khabar Na Ayi
To Ye Keh K Hum Ne Dil Ko Tala
Hawa Thame Gi To Dekh Lain Ge
Hum Us K Raston Ko Dhoond Lain Ge
Magar Hamari Ye Khush Khayali
Jo Hum Ko Barbaad Kar Gaye Thi
Hawa Thami Thi Zaroor Lekin
Bari Hi Mud'dat Guzar Chuki Thi
Hamare Balon K Jungalon Main
Safaid Chandi Utar Chuki Thi
Falak Pe Taray Nahi Rah The
Gulaab Pyare Nahi Rahe The
Wo Jin Se Basti Thi Dil Ki Basti
Wo Loog Saare Nahi Rahe The
Ye Almiya Sab Se Baalatar Tha
K Hum Tumhare Nahi Rahe The
K Tum Hamare Nahi Rahy the
Hawa Thami Thi Zaroor Lekin
Bari Hi Mud'dat Guzar Chuki Thi

Chand K Sath Jagti Ankhen - Urdu Shayari In Urdu By Mussart Anjum

Mussart Anjum

mussarat anjum urdu ghazal


Friday, February 18, 2011

Welcome - Ghazal By Wasi Shah


urdu shayari wasi Shah

The Last Call Urdu Ghazal By Wasi Shah


Last Call

wasi shah poetry

Ye Na Thi Hamari Qismat - Mirza Ghalib


Ye na thi hamari qismat, k visaal-e-yaar hota 
Agar aur jeete rehte, yehi intezaar hota 

Tere waade par jeye hum, to ye jaan jhoot jana 
K khushi say mar na jaate, agar aitbaar hota 
 
Rug-e-sung say tapakta, wo lahoo k phir na thumta 
Jese ghum samajh rahay ho, ye agar sharaar hota 
 
Kahoon kiss se main ke kya hai, shab-e-ghum buri bala hai 
Mujhay kya bura tha marna, agar aik baar hota 
 
Huwe mar k hum jo rusva, huwe kyun na gharq-e-darya 
Na kabhi janaza uth’ta, na kahin mazaar hota 

Ye masail-e-tasav’vuf, ye tera bayan “Ghalib” 
Tujhay hum wali samajhte, jo na baada khuwar hota

Ek Baar Jo Mil Jaye Dubara Nahi Milta


Ik baar jo milta hai dubara nahi milta
Itni bari dunya main koi hamara nahi milta

Kis ko banayen apni zindagi ka hamsafar
Hum ko kahin se ishara nahi milta

Har rooz naye naye loog milte hain
Magar koi bhi jaan se piyara nahi milta

Gham k bhanwar main aise phasi hai naao
Pareshan hai is kadar k kinara nahi milta

Muddat k baad tere gali main aaye hain
Ab kis se pochen k tumhara ghar nahi milta

Poet : Muhammed Asghar