The influential poetry are those words that enter from the ear to.Poetry can provide a mirror for us to see ourselves, and a window into others' experiences. Here are the poetry collections
Thursday, January 10, 2013
Na Who Farishta Ho Na Farishte Jaisa Ho
Na Who Farishta Ho Na Farishte Jaisa Ho
Mujhe Talash Hai Uski Jo Mere Jaisa Ho
Jo Khwaab Dene Ko Qadir Ho Meri Aankhon Ko
Meri Mohabbat Ko Pehchan Sake Woh Aisa Ho
Meri Khatir Marne Ka Hosla Bhi Rakhta Ho
Koi Bhi Ho..Kahi Bhi Ho.. Bas Aisa Ho
Agar Kabhi Rooth Jaoon Mein Usse To
Muskrake Manaye, Woh Aisa Ho
Jo Baat Kare To Woh Nibha Bhi Sake
Iradon Mein Woh Apne, Chattanon Jaisa Ho
Dukhon Mein Hansne Ka Hunar Janta Ho
Ik Aisa Hamsafar Jo Samandar Ki Tarah Gehra Ho
Us Ke Pyaar Ki Thandak Ho Mere Liye Aisi
Ke Woh To Bilkul Aasman Ke Chand Jaisa Ho
Woh Sirf Mera Ho, Jo Nigahon Mein Haya Rakhta Ho
Umar Bhar Saath Chale�!! Bus Humsafar Mera Aisa Ho
__________________________________
Yeh Mat kehna
Yeh Mat kehna Keh teri Yaad Se Rishta Nahi Rakha
mein Kudh Tanha Rha� Dil Ko Magar Tanha Nahi Rakha
Tumhari Cahton K Phool To Mahfooz Rakhey Hein
Tumhari Nafrtoon K peedh Ko Zinda Nahi Rakha
Mere Gulshan Peh Bhi Aya Hai Mosam Tang Dasti Ka
Khuda Ka Shukar Hai os Ne Mujhe Bhoka Nahi Rakha
Faqt yeh Soch kar Dil Ko Bari Tasqeen Milti Hai
Keh Mein Ne Apne Cahrey Par Koi Cehra Nahi Rakha
Mein APne Haal Mein Kush Hon Wo Apne Haal Mein Kush Hai
Keh Hum Milte To Hein Leykin Rishta Nahi Rakha
Kehin par Naam Hai Tera Kehin Tasveer Hai teri
Kitab Zist Ka Koi Warq Sada Nahi Rakha
Koi Bhi Anjman Ho Bas Tumhara Zikar karte Hein
Tumhari Yaad Say Ghafil Koi Lamha Nahi Rakha
Na Jannay Darbadar phirne Ka Keysa Shok Hai Tujh Ko
Mujhe Yeh To Bata Mujh Mein Kia Nahi Rakha
Mein Tehra Ajnabi Mujh Ko To Galyun Mein Batakhna Tha
Magar Tu Ne Bhi To Koi Dareecha Wa Nahi Rakha
Irshad is Saher Mein Kia Hadsa Ho Ga Keh Logo Ne
Kehin Pathar Nahi Rakha Sisha Nahi Rakha
____________________________________
Yeh Zindage Ka Safar
Yeh Zindage Ka Safar Tha Kabhi Buhat Dushwar
Huwa Hai Abb Bhi Aasan Teri Rifaqat Se
Ya Rab Humein Talash Kisi Hum Safar Ki Thi
Laiken Yahan To Koi Na Apna Dekhae De
Har Gam Teri Yaad Mein Saath Saath Thi
Mein Dekhne Mein Yun To Akela Safar Mein Tha
Kisi Ko Gher Se Nikalte Hi Mil Gai Manzil
Koi Hamari Tarah Umar Bhar Safar Mein Raha
Mein Ne Kaha Tha Aag Ka Darya Hai Zindage
Abb Hum Safar Bane Ho To Himmat Se Kaam Lo
Safar Ka Saath Hai Yeh Manzilon Ka Saath Nahi
Guzar Hi Jaen Ge Lamhe Hisab Rehne Do
Woh Log Uth Gaye Jin Se Saroon Per Saaya Tha
Jo Hum Safar Hain Woh Pehle Se Maherban Na Tha
Taweel Ho Na Kahien Apni Chahaton Ka Safar
Suna Hi Ahl-E-Talb Umar Bhar Tarapte Hain
___________________________________
yaad-e-mazi.
YaaD e mazi
Yaad-Mazi Mai Jo Ankhon Ko Saza Di JayeIs Say Behtar Hai K Har Baat BhulaDi Jaye..
Mai Ne Apno K Raweyon Say Ye Mehsoos KiyaDil K Angan Mai B Dewaar Utha Di Jaye..
Mai Ne Yaroon K Bhicharne Say Ye Seekha "MOHSIN"Apne Dushman Ko B Jeene Ke Dua Di Jaye.....
( poet : Mohsin naqvi)
ashk ankhon main kab nahi ate.
Ashk ankhon main kab nahin ata
lahu ata hai jab nahin ata
hosh jata nahin raha lekin
jab wo ata hai tab nahin ata
dil se rukhsat hui koi khwahish
girya kuch be-sabab nahin ata
ishq ka hausala hai shart warna
bat ka kis ko dhab nahin ata
ji main kya-kya hai apne ae hamdam
har sukhan ta ba-lab nahin ata
(poet : mIR tAQI mIR)
Wednesday, January 9, 2013
new design poetry.
karam jab Aal-e-nabi (s.a.w) ka shareek hota hey......bigar bigar kay har kam thek hota heay........
ek tou husan bala, us par banawat Aafat.....ghar ujar gaye hazaroo kay, sanwarne wale....
teri nigah bhi is door ki zakat hui.....joo mustahiq hey usi ko na mili.....
daman chura k Aap ne jana he tha agar.....nazaree utha kay piyar se dekha tha kis liye....
bohat nazdeek ate jaa rahe ho.....bicharne ka irada kar liya kiya...??
ishq kay rang liye pheerta hu.....us ki tasveer bana day koi.......
Subscribe to:
Posts (Atom)