Thursday, May 7, 2015

Zakhm jhele daagh bhi khaaye bahut

Zakhm jhele daagh bhi khaaye bahut,
dil laga kar hum toh pachhtaye bahut.

Jab na tab jagah se tum jaya kiye,
hum toh apni or se aaye bahut.

Dair se su-e-haram aaya na tuk,
hum mizaaj apna idhar laaye bahut.

Phul gul shams-o-qamar sare hi the,
par humen un mein tumhin bhaye bahut.

Gar buka iss shor se shab ko hai toh,
rowenge sone ko hum-saaye bahut.

Woh jo nikla subh jaise aftaab,
rashk se gul phool murjhaaye bahut.

‘Meer’ se poochha jo main ashiq ho tum,
ho ke kuchh chupke se sharmaye bahut. 

No comments:

Post a Comment