Thursday, May 7, 2015

Tere ishq ki intiha chaahta hun


Tere ishq ki intiha chahta hun,
meri sadgi dekh kya chaahta hun.

Sitam ho ki ho wada-e-be-hijaabi,
koi bat sabr-aazma chaahta hun.

Ye jannat mubaarak rahe zahidon ko,
ki main aap ka samna chaahta hun.

Zara sa toh dil hun magar shokh itna,
wahi lan-taraani suna chahta hun.

Koi dum ka mehman hun aey ahl-e-mehfil,
charaagh-e-sehar hun bujha chahta hun.

Bhari bazm mein raz ki baat keh di,
bada be-adab hun saza chahta hun. 

No comments:

Post a Comment