Monday, May 11, 2015

Kaash Main Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota - Wasi Shah

Kaash main tere haseen haath ka kangan hota

Tu barey pyaar sey, barey haahon sey barey araam ke saath
Apni naazuk si kalaai mein charhaati mujh ko
Aur bey-taabi sey furqat ke khizaan lamhon mein
Tu kisi soch mein doobi jo ghumaati mujh ko
Main tere haath ki khushboo sey mehak sa saa jaata
Jab kabhi mood mein aa kar mujhe chooma karti
Tere honton ki shiddat sey main dehek sa jaata

Raat ko jab bhi tu neenfon ke safar par jaati
Marmari haath ka ik takiya banaaya karti
Main tere kaan sey lag kar kaee baatein karta
Teri zulfon ko, tere gaal ko chooma karta
Jab bhi tu bund qaba kholney lagti jaanaan
Apni aankhon ko tere husn sey khaira karta
Mujh ko bey-taab sa rakhta teri chaahat ka nasha
Main teri rooh ke gulshan mein mehekta rehta
Main tere jism ke aangan mein khanakta rehta
Kuch nahi tou yahi bey-naam sa bundhan hota

Kaash main tere haseen haath ka kangan hota

No comments:

Post a Comment