Tuesday, May 5, 2015

Tum poochho aur main na bataaun


Tum poochho aur main na bataaun aise toh haalaat nahin,
ek zara sa dil toota hai aur toh koi baat nahin.

Kis ko khabar thi saanwale baadal bin barse udd jaate hain,
saawan aaya lekin apni qismat mein barsaat nahin.

Toot gaya jab dil toh phir ye saans ka naghma kya ma.ani,
goonj rahi hai kyon shehnaai jab koi baaraat nahin.

Ghum ke andhiyaare mein tujh ko apna saathi kyon samjhun,
tu phir tu hai mera toh saaya bhi mere saath nahin.

Maana jeevan mein aurat ek baar mohabbat karti hai,
lekin mujh ko ye toh bata de kya tu aurat zaat nahin?

Khatm hua mera fasaana ab ye aansoo ponchh bhi lo,
jis mein koi taara chamke aaj ki raat woh raat nahin.

Mere ghumgeen hone par ahbaab hain yun hairaan ‘qateel
jaise main patthar hun mere seene mein jazbaat nahin. !

No comments:

Post a Comment