Sunday, February 24, 2019

Ab roz uske aanai ka intezaar kerta hon...

Ab roz uske aanai ka intezaar kerta hon,
Main waswason ke ijaad ka karobaar kerta hon,

Ahd-e-wafa na rahe, hojaye tarq-e-taluq bhi,
Dur jane se uske mager main inkaar kerta hon,

Guzri raat ke gham ko badalon main urra ker,
Aanai wale shub ki zindagi dushwaar kerta hon,

Kisi aur ke yaad rakhne ka kya bharosa,
Main apne bhool-jane per aeitebaar kerta hon,

Roz-e-hashr bhi main davedaar-e-kufr honga,
Ke ab bhi tumhari parsai per israar kerta hon,

Kehte hain ghazal-saz mujhe mehfil-e-adab main,
Zikr jab tumahri adawaton ka barbar kerta hon,


Everyday I long for their arrival,
I am a trader of the whispers of betrayal,

I accept the end of all we had together,
This distance - but - I refuse to accept,

I turn my night's pain into clouds of smoke,
Destroying the dawn of tomorrow's morning,

No reason to believe in their remembering,
I choose instead to believe in my forgetting,

On judgement day, I will choose to deny God,
As I deny your many betrayals in front of me,

They call me a poet in the company of the learned,
When I recite to them the cruelties of your love,

- Hassan Bin Fahim

No comments:

Post a Comment