Saturday, April 16, 2016

Zulm-o-jabr tou husn waalon ki saqafat hai...

Zulm-o-jabr tou husn waalon ki saqafat hai,
Badla-e-khulus main naseeb humain adawat hai,

Koi jaa ker kare kamosh Ali bin Asghar ko,
Aah nahi berdasht abhi, yeh waqt-e-shaddat hai

Woh karain zulm aur hum hain k umeed naa harain,
Mohabbat ke ander bhi aik ajeeb si sharafat hai,

Sawal aik zaroor meri maiyat ko sataiga,
Qafan tou hogaya, qatil ko nadamat hai?

Itna zulm kyu kisi ghair per koi kere ga,
Tumhari berukhbhi bhi daleel-e-rafaqat hai!


Pain and cruelty is the tradition of those with beauty,
In return for sincerity we are destined only with malice,

Someone go and quiet Ali bin Asghar* now
No sighs are tolerated here, this is the time of sacrifice,

They continue with their torture and we fail to lose hope,
In love exists an odd sort of innocence,

A question will indeed plague me beyond life,
The burial has happened, does the murderer regret?

Such cruelty who would do unto a stranger?
Your aloofness is proof of our closeness!

- Hassan Bin Fahim

*Ali Bin Asghar is a reference to Husein's (ra) infant son from the battle of Karbala.

No comments:

Post a Comment