Saturday, February 26, 2011

Ranjha Ranjha Kardi By Baba Bulleh Shah

Ejaaz Hai Kis Ka Ye - Allama Muhammed Iqbal


Ejaaz hai kis ka ye gardish-e-zamana
Toota hai asia main ye sehar-e-firangana

Tameer aashiyan se main ne ye raaz paya
Ehel-e-nawa k haq main bijli hai aashiyana

Ye bandag Khudaye, wo bandage gadaye
Ya banda-e-Khuda ban, Ya banda-e-zamana

Ghafil na ho khudi se kar apni paasbani
Shayad kisi haram ka tub hi hai aastana

Ay La Illaa K waris, baqi nahi hai tujh main
Guftaar dilbarana, kirdaar kahiraana

Tere nigah se dil senon main kaanpte the
Khoya gaya hai tera jazba-e-qalandarana

Raaz-e-haram se shayad “Iqbal” ba khabar hai
Hain is ki guftugu k andaaz muhrimaana

Zulm Seh Kar Bhi Samjhta Hon - Mohsin Naqvi Shayari


Zulm seh kar bhi samjhta hon k tu mera hai
Mere dushman tere chehre pe lahoo mera hai

Subha dam shehar ki shorish tere dam se hogi
Raat k pichle pehar aalam hoo mera hai

Mere hathon main chupe zakham se pehchan mujhay
Tere daman pe bhi ahsaan rafoo mera hai

Ghir gaya hon main talatum main bhi zindaan ki tarah
Halka-e-mauj rawan touq-e-gulo mera hai

Itni shohrat bhi kahan chahi thi khud se main ne
Apne hi shehar ka har shaks adu hai mera

Dhoop chaaon ki ye rut dil main tehar jane de
Aks tera hai to saaya lab jo mera hai

Patharon se muhabbat mujhay yun bhi hai “Mohsin”
Sangdil shehar main ik aayena ru mera hai

Wo Mera Khayal Thi - John Elia Urdu Poetry Sher


Wo mera khayal thi, so wo thi
Main us ka khayal tha so main tha
Ab dono khayal mar chuke hain